VOICE OF NAUMAN ADIL
Dedicated to Dr.M.I.Subhani
Dr.M.I Subhani is my instructor for the course of Business Economics. He is a multi Talented person and a research expert. After doing my Business economics course from him I thought to share his personality and his style with you all. I hope I didn’t write anything which will insult or disgrace somebody.
Kadh hai un ka chota sa,
Aur sar pat unki chal hai
Dublay say patlay say hain
Par chaltay seena taan kr hain,
Yeh hain hamare subhani sahib
Yeh hain hamare subhani sahib
Dekha jab unko pehali bar
Hain yeh kon , dil main aya khayal
Jab rakha qadam unho nay class main
Tu aya samaj hamay yeh
Acha yeh hain hamare subhani sahab
Yeh hain hamare subhani sahib
Dur gae thay hum pehli bar
Jab class main kya in ka deedar
Kuch aya na samaj kay kya Karen
Kuch bolay hum tu phans gae yar
Par main yeh fakhr say bola yar
Yeh hain hamare subhani sahib
Jab shoro kiya unho nay parhana
Dil main aya, Ab tu hum gae yar
Phr bhe hum nay hausla rakha
Aur laymen or keynessian ko samjha
Agya jb hamay samaj, Laga kiya maidan-e-jang fatha
Yeh hain hamare subhani sahib
Demand Supply Ka bhe kya kehna
Flatter ,unitary bhe wah bhai wah
Substitute ,complement bhe hum nay parha
Physics ,stats bhe economics main parhi
Maths ko bhe hum nay pechay nae chora
Sab kuch aik sans main parhanay wale
Yeh hain hamare Subhani Sahab
Jab aye midterm kareeb hamaray
Dur tha hamare dil mein yeh
Kay kya hoga hamara ab
Kya ayega paper main ab
Kr bhe paengay hum woh paper
Jo hoga baht he zaeda conceptual
Yeh hain hamare subhani sahab
Aya paper jab midterm ka
Khauf kay maray paper na hua
Paper krkay jab baahr niklay
Sab kay latkay chehray dekhay
Magar Karam hai Subhani sahib ka
Jinho nay hamay achay number dye
Yeh hain hamaray subhani sahab
Baat follow krtay krtay
Hum na thakay Yun Parhtay parhtay
Class ko sath ley kr chalna
Yeh tha in ka bara karnama
Akhir kar sab nay mana
Yeh hain hamare subhani sahib
IC, Monopoly sirf samajh main aya
Jab Larka larki ki kahani banai
Hain tu akhir hum bhe larkay
Pata hai yeh ustaad ko bhe
Kaise hain yeh subhani sahib
Yeh hain hamare Subhani sahib
Inho nay hamay danta Baap ki tarhan
Marnay main bhe apna farz nibhaya,
Zaleel tu main bhe hua in say bahut
Magar seekha bhe mainay in say baht
Krta hun in ki izzat
Yeh hain hamare subhani sahib
Ab yaron waqt aya final ka, hai yeh hamara asal imtihan
hongay pass ya fail hum, tha yeh dur sab ko he
Sab masroof thay fair register bananay main
Chupatay thay apnay dur ko sab
Subhani sahib ilm rakhtay thay is khauf ka
Yeh hain hamary subhani sahib
Akhir paper aya final ka, Dhai ghantay thay jiskay lye kum
Thay bus woh 8 mcq’s , Magar us main chupi the poori dastan
Hogya mushkil paper krna , Magar akhir main kr he lya
Bahar nikal kr pata yeh chala, kuch he hua hai hum say sahe
Dastan-e-Economics khatam hoe, aur result ka intizar shoro hua
Yehhain hamare subhani sahib
Result say aik rat pehlay, aye na neend hamay
Socha humnay yeh , hoga kya economics main
Jab result khola tu economics Clear tha
Isse khuda per yaqeen pukhta hua
Krdi khuda nay hamari madad
Mera abhe bhe yehe kehna
Yeh hain hamare subhani sahab
Sab hai yeh bolay, Sir hain esay , Sir hain waise
Main unsay yehe bola, Sir hain bhat he conceptual,
Views clear hain tu economics kadmon main hain
Warna tu economics kay kadmon main hai
Nauman abhe bhe yehe kahaiga
Yeh hain Hamare subhani sahib.
I will appreciate if u leave your valubale comments
very well said nauman sir . you have done a fantastic job . i really like and fully agreed with what u have said . just each and every thing is perfect .. well done .
ReplyDeleteregards : vicky chouhan
Amazing ! Even i had my Business Economics from Sir Subhani and you portrait 100% correct picture of class, mids , finals .. No doubt , nobody can replace him ! :)
ReplyDelete