18 febuaray kay election main bhari aksariyat say jeetnay wale Pakistan people party apnay 19 mah pooray krchuki hai. Pakistan peoples party nay hukumat main atay he degar dosri siasi jamaton say colletion hukumat bananay ki bat cheet shuru krdi. Aur bilakhir hamay wafaq main PPP, ANP aur PML-N ka itehad nazar aya aur hukumat e waqt ki pehli kabina main ppp samet degar aur jamaton kay karkunon nay bhe waizarton ka halaf uthaya. PPP aur PML-N kay darmiyan hukumat main anay say pehlay kai muhaiday hoay jinhay hum charter of democracy aur burban declaration kay nam say jantay hain jis main is baat per itefaq hua tha kay ppp hukumat main anay kay baad apany itehadiyon kay sath mushawart krkay 58 2 (b) jisay 17th amendment bhe kaha jata hai usay khatam kregi jiskay tehat sadar apnay iktiarat kum krkay wazir e azam ko muntaqil krdega. Is kay sath sath sabiq sadar pervaiz musahraf kay khiilaf assembly main impeachment dair krnay ki shik bhe charter of democracy main shamil the. Aik aur shik jis per is charter kay tehat itefaq e rai ha tha who judges ki bahali ka masla tha jis kay baray main yeh kaha gya tha kay pco kay tehat jjitnay judge nay halaf uthaya hai unko farigh ul tehseel krdya jaiga jbkay 3 nov say pehlay wale adleea ko bahal krna hoga. Ppp ka poora manshoor is aik shair per mubni hai
Maang rae hai awam
Roti kapra aur makan
Roti kapra aur makan ka wada krnay wale is hukumat nay awam ko jo sb say pehla tuhfa dya woh petroleum masnooat ki keemton main izafay ki shakal main dya. Is tauhfay kay baad awam kay dilon main mazeed taufhon ki khwaisyat khatam hogai.
Magar is hukumat nay musharraf kay daur –e-iqtidar kay khatmay, adleea ki bahali aur halia main shakar ka bhuran paeda krnay main ahem krdar ada ka hai.
Charter of democracy main kye gae us waqt kay sadar pervaiz musharaf ki impeachment kay waday ko ppp poora krti nazar nae area the tu PML-N kay tamam wuzra nay aik deadline kay baad apnay istifah wazir e azam yousuf raza gilani ko bhejwa dye aur wizarat kay uhday say mustafi hogai. Magar bilakhir daer aye durusat aye ppp nay pml-n say impeachment kay hawaly say mashwarat dobara shoro krdye aur pervaiz musharaf ko assembly main laa kr impeachment kranay ka faesla kya. Pervaiz musharaf nay hukumat ki yeh karkardagi dkh kr istifahy ka faisla kya aur 17th aug 2008 ko apnay uhday say mustafi hogai.
Pervaiz musharaf kay mustafi hotay he ghair mulki sarmaya karon nay Pakistan say apna paisa nikalna shoro krdya jis ki sab say bari missal dollar ka rupay kay aiwaz chand he arsay main 35% barh jana aur stock market ka 15000 say 5000 ki satah per ajana hai.
Iskay baad colletion ka silsila dobara thora he agay barha tha kay pml-n nay ppp kay rehnumaun ko un ka dosra wada jo adleea ki bahali ka tha yaad dilana shoro krdya jis main takheer kay bais is colletion ko dobara tootna para aur is dafa pml-n nay pori tarhan say hukumat say alag hokr opposition main bethnay ka faisla kya aur chaudhary nisar ko quaid e hasab-e-ikhtilaf namzad kya gya. Pml-n nay ppp say judges ki bahali kay lye mashwarat ka amal phr bhe jari rakha aur bech main -1 nami formulae per bhe kafi behas hoe magar pml-n azad adleea chahti the aur unho nay adleea say yuck jehti kay lye DATE Punjab main long march ka iniqad kya jis main btaya jata hai ka taqreeban 20 lac afrad shamil huay.
Is manzar nay PPP ki hukumat ko hila dya aur bilakhir DATE ki rat 12 bajay nay army chief pervaiz kiyani nay sadar-e-mumlikat say mulaqat ki aur adleea ko bahal krnay ka mashwara dya. Sadar-e-mumlikat nay army chief ki hidayat per amal kya aur wazir-e-azam yousuf raza gilani ko adleea ko bahal krnay kay ehkamat jari krdye. Aur wazir e azam yousuf raza gilani nay DATE ki subha judges ko bahal krdya.
Deegar aur issues jo is hukumat ki kamyabi kara dye jasaktay hain us main bhasha dam ki tamir ka shoro hona, baluchistan ki awam kay lye aik pakage mutarif karana jisay AGHAZ-e-huqqoq-e-baluchistan kaha gya shamil hain. NFC award main behtri lakr hukumat-e-waqt nay har subay ki awam kay dilon main apnay lye aik bar phr jaga bana li jis kay tehat yeh bat zair-e-gaur hai kay subhon ko unki majmoi amdani ka 50 feesad say zaeda milega .
Thar coal project ka aghaz karanay ka sehra bhe isi hukumat kay sir hai. Maeeshat ko behtar bananay kay lye hukumat-e-waqt nay petroleum masnooiat ki keemton main izafa kya takay hukumat jo rukum awam ko subsidy ki shakal main dey rae hai usko wapis ley kr maeeshat per say boojh kum kiya jasakay. Is hukumat nay aik behtreen wheat policy ka elaan bhe kya . khabren majood theen kay hum kuch he arsay main gandum kay bhuran ka shikar honay walay hain magar is policy kay elaan honay kay baad ye imkaanat kafi hudh tk kum hochukay hain.
Dehshat gardi kay khatmay kay lye bhe hukumat nay kai achay iqdamat uthai aur swat aur malakand main dehshat gardon kay khatmay kay lye operation karay jisay hum operation rah-e-rast kay nam say jantay hain.
Ghareeb afraad ki madad kay lye is hukumat nay aik fund mutarif kraya jis ko Benazir Income Support Fund ka nam dya gya. Is fund kay tehat har khandan ko 1000 rupay mahana dye jatay hain.
No comments:
Post a Comment